Pyar Ishq Hamdardi Aur Dosti Sazish
pyar ishq hamdardi aur dosti sazish
mere sath hoti hai rose ek nai sazish
aane wale lamhon ke hum mizaj-dan Thahre
kaise kar sakegi phir hum se zindagi sazish
wo KHud-e'timadi ka aaina raha hoga
warna ek muddat tak muntazir rahi sazish
le chali hain sahil par mujh ko sar-phiri maujen
jaise ye bhi tufan ki ho koi nai sazish
main ghane andheron ka saya sath rakhta hun
mere sath kar jae aur raushni sazish
us ki apni chaalon ne us pe war kar Dala
waqt ke badalte hi ruKH badal gai sazish
'akmal' aaj ka insan kitna be-tahammul hai
dil mein kuchh KHalish ubhri aur dagh di sazish
(869) Peoples Rate This