Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_95ec63148dab551ae983db37db4e0c7d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Se Qiston Mein BaT Gaya Hun Main - Akmal Imaam Poetry In English - Darsaal

Jab Se Qiston Mein BaT Gaya Hun Main

jab se qiston mein baT gaya hun main

apne mehwar se haT gaya hun main

jab shanasa na mil saka koi

apni jaanib palaT gaya hun main

mera saya bhi baDh gaya mujh se

is saliqe se ghaT gaya hun main

mil gae jo bhi mutmain lamhe

un se fauran lipaT gaya hun main

raushni jab baDhi meri jaanib

do-qadam pichhe haT gaya hun main

aarzu Tis karb tanhai

KHud mein kitna simaT gaya hun main

apni pahchan ho gai mushkil

gard mein itna aT gaya hun main

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Qiston Mein BaT Gaya Hun Main In English By Famous Poet Akmal Imaam. Jab Se Qiston Mein BaT Gaya Hun Main is written by Akmal Imaam. Read famous Poem Jab Se Qiston Mein BaT Gaya Hun Main for youth and Student by Akmal Imaam. Free Download Jab Se Qiston Mein BaT Gaya Hun Main in PDF.