Hijr Ki Sham Se ZaKHmon Ke Doshaale Mangun
hijr ki sham se zaKHmon ke doshaale mangun
main siyahi ke samundar se ujale mangun
jab nai nasl nai tarz se jina chahe
kyun na us ahd se dastur nirale mangun
apne ehsas ke sahra mein taqaddus chahun
apne jazbaat ki ghaTi mein shiwale mangun
apni aankhon ke liye dard ke aansu DhunDun
apne qadmon ke liye phul se chhaale mangun
har nae moD pe chahun nae rishton ka hujum
har qadam par main nae chahne wale mangun
apne ehsas ki shiddat ko bujhane ke liye
main nai tarz ke KHush-fikr risale mangon
din ki saDkon pe saja kar nai subhen 'akmal'
shab ki chaukhaT ke liye aahani tale mangon
(732) Peoples Rate This