Wo Kam-nasib Jo Ahd-e-jafa Mein Rahte Hain
wo kam-nasib jo ahd-e-jafa mein rahte hain
ajib mariz-e-karb-o-bala mein rahte hain
numud-e-zauq o bulugh-e-hunar ka zikr hi kya
yahan ye log to aah-o-buka mein rahte hain
wida-e-KHuld ke baad arsa-e-firaq mein hain
ba-qaid-e-jism dayar-e-fana mein rahte hain
wo subh o sham meri ruh mein hain jalwa-numa
dil-e-figar o alam-ashna mein rahte hain
hisar-e-zat mein mahbus ho ke ahl-e-hawas
fareb-e-hasil-e-be-muddaa mein rahte hain
bhula chuke hain zamin o zaman ke sab qisse
suKHan-taraaz hain lekin KHala mein rahte hain
amir-e-shahr ki sohbat ke faiz se 'aKHtar'
janab-e-shaiKH ab unchi hawa mein rahte hain
(918) Peoples Rate This