Irfan-o-agahi Ke Saza-war Hum Hue

irfan-o-agahi ke saza-war hum hue

soya paDa tha shahr ki bedar hum hue

ta umr intizar sahi par ba-roz-e-hashr

achchha hua ki tere talabgar hum hue

hum par wafa-e-ahd anal-haq bhi farz tha

is waste ki mahram-e-asrar hum hue

Thahregi ek din wahi meraj-e-bandagi

jo baat kah ke aaj gunahgar hum hue

hote gae wo KHalq-farebi mein hoshiyar

jitna ki tajribe se samajhdar hum hue

nadan the ki masnad-e-irshad chhoD kar

halqa-ba-gosh-e-sirat-o-kirdar hum hue

is daur-e-KHud-farosh mein 'aKHtar' ba-sad KHulus

KHamyaza-sanj-e-jurat-e-izhaar hum hue

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Irfan-o-agahi Ke Saza-war Hum Hue In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Irfan-o-agahi Ke Saza-war Hum Hue is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Irfan-o-agahi Ke Saza-war Hum Hue for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Irfan-o-agahi Ke Saza-war Hum Hue in PDF.