Aankh Dariya Jigar Lahu Karna

aankh dariya jigar lahu karna

kitna mushkil hai aarzu karna

tajziya dil-nashin KHayalon ka

hai ghazalon ki justuju karna

tazkira in ki dil-nawazi ka

aur phir mere ru-ba-ru karna

bas yahi ek shaghl-e-tanhai

rah gaya KHud se guftugu karna

kushtagan-e-alam se sikha hai

dard-mandon ki aabru karna

doston ke karam se chhoD diya

hum ne andesha-e-adu karna

bachna har nok-e-KHar se 'aKHtar'

zaKHm phulon ke bhi rafu karna

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Dariya Jigar Lahu Karna In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Aankh Dariya Jigar Lahu Karna is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Aankh Dariya Jigar Lahu Karna for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Aankh Dariya Jigar Lahu Karna in PDF.