Zar-e-nab

ek KHwab ke fasle pe lahu hai

kohsar ke surmai kinare

wadi se shafaq uchhaalte hain

ji mein ye bhara hua sunahra

bhitar mein ruka hua dasahra

kaghaz pe numu karega kab tak

ai harf-e-sitara-saz ab to

uThti hai qanat raushni ki

zulmat ka shiar hai ikahra

KHufta hai jihat jihat ujala

imkan hai basit aur gahra

(1773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zar-e-nab In English By Famous Poet Akhtar Usman. Zar-e-nab is written by Akhtar Usman. Read famous Poem Zar-e-nab for youth and Student by Akhtar Usman. Free Download Zar-e-nab in PDF.