Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4bcd526563e7fad90e4d82d74ca08c40, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Ajab Aadmi Hun - Akhtar Usman Poetry In English - Darsaal

Main Ajab Aadmi Hun

main ajab aadmi hun

raegani ke tasalsul ne mujhe toD diya

meri punji mere qirtas o qalam

kuchh kitaben pae-taskin-e-junun

kaun talib hai bhala maya-e-be-maya ka

koi jagir nahin

zindagi sher ke mele mein ganwa di main ne

is pe nazan tha ki har lafz mere

halqa-e-ehsas mein hai

is pe faKHir tha ki hain KHwab

mere kise mein

main ne kya kya na fan-e-sher ki aaraish ki

lafz-dar-lafz mahal

harf-dar-harf KHayal

satr-dar-satr junun

main ajab aadmi hun

zindagi sher ke mele mein ganwa di main ne

(1585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ajab Aadmi Hun In English By Famous Poet Akhtar Usman. Main Ajab Aadmi Hun is written by Akhtar Usman. Read famous Poem Main Ajab Aadmi Hun for youth and Student by Akhtar Usman. Free Download Main Ajab Aadmi Hun in PDF.