Gard-baad
bagula
KHak-zada farsh uftada
hawa jarub karti hai to us ka jism Dhalta hai
safar ki gardishen sauda-e-baatin muntashir sochen
hayule sa bagula
be-shabahat qais-zada
shahr ki galiyon mein chakraata hai
KHud main chiKHta pal mein kai qarnon ke bal khata hai
gard zard ka jhula
bagula
hijr-zada balki hijrat-zad
sahra se abhi basti mein aaya tha
Dare sahme hue logon ki aankhen hashr-basta thin
abhi do-chaar galiyan tai na ho pain
KHam-o-pech us ki rah mein aae
zarre kasmasae
jism ke aaza jhaDe
aahista aahista uDan andoh mein badli
aur ab logon ke qadmon mein koi wamanda-gard
be-kinara fatada hai
farda ki dhun mein koi ho bas ek hayula hai
mere baatin mein jo kuchh pech khata hai
hayula ya bagula hai
main pani aur miTTi se bahut Darta hun
hijrat se guzarta hun
ubharta hun bikharta hun
(1119) Peoples Rate This