But-saz
main ne kya soch ke sahra mein dukan kholi hai
lab-e-lalin ke tasawwur mein mangae yaqut
najm laya hun ki tartib ho silk-dandan
mah-e-yak-ru bhi to darkar hai abru ke liye
dur ufuq par se thoDi si shafaq laya hun
KHun mein gundh ke bhaTTi mein tapaunga use
tab kahin surKHi-e-ruKHsar huwaida hogi
main ne tayyar kiya KHak-e-kawakib se KHamir
kuchh nahin kuchh bhi nahin aaj aza-KHane mein
aaj KHas-KHana-e-KHwahish mein faqat rakh hai rakh
wo kisi dast-e-hunar-war ka tarasha hua til
kaf-e-zau-rez ko sharmata tha mah-e-kaamil
wo teri saad-e-simin ka zamurrad bhi KHajil
kuchh nahin kuchh bhi nahin aaj aza-KHane mein
aaj bhi sochta hun apne junun mein aa kar
main ne kya soch ke sahra mein dukan kholi thi
(1670) Peoples Rate This