Abhi To Par Bhi Nahin Taulta UDan Ko Main
abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main
bila-jawaz khaTakta hun aasman ko main
mufahamat na sikha dushmanon se ai salar
teri taraf na kahin moD dun kaman ko main
meri talab ki koi chiz shash-jihat mein nahin
hazar chhan chuka hun teri dukan ko main
nahin qubul mujhe koi bhi nai hijrat
kaTaun kyun kisi balwe mein KHandan ko main
tujhe naKHil-e-falak se paTaKH na dun aaKHir
tere samet gira hi na dun machan ko main
ye kaenat mere samne hai misl-e-bisat
kahin junun mein ulaT dun na is jahan ko main
jise pahunch nahin sakta falasfa ka shuur
yaqin ke sath milata hun us guman ko main
(1481) Peoples Rate This