Targhib Aur Uske Baad
targhib:
phir main kaam mein lag jaunga aa fursat hai pyar karen
nagin si bal khati uTh aur meri god mein aan machal
bhed-bhaw ki basti mein koi bhed-bhaw ka nam na le
hasti par yun chha ja baDh kar sharminda ho jae ajal
chhoD ye laj ka ghungat kab tak rahega in aankhon ke sath
chaDhti raat hai Dhalta suraj khaDi khaDi mat panw mal
phir ye jadu so jaega samay jo bita gahri nind
jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ek lamha ek ek pal
bin chhui miTTi ki KHushbu us ka sundha sundha-pan
sab kuchh chhin jaega ek din ab bhi waqt hai dekh sambhal
narm ragon mein miThi miThi Tis jo ye uThti hai aaj
baDhti mauj ka rela hai ik, Tis na uThegi kal
mast rasili aankhon se ye chhalki chhalki si ek shai
jis ne aaj apnaya is ko samjho us ke car saphal
main tere shoalon se khelun tu bhi meri aag se khel
main bhi teri nind churaun tu bhi meri ninden chhal
narm hawa ke jhonkon hi se khulti hai phulon ki aankh
warna barson sath rahe hain Thahra pani band kanwal!
us ke baad:
bhigi raat ka nashsha TuTa Dub gaya hai chaDhta chand
thake thake hain aaza sare aur huin palken bojhal
shabnam ka ras pi gain kirnen din ka rang chamak uTTha
gunj hai bhanwron ki kanon mein par hain aankhon se ojhal
husn aur ishq ki is duniya mein kis ne kis ka sath diya
main apne raste jata hun aur tu apni Dagar par chal!
(876) Peoples Rate This