Tafaut
hum kitna roe the jab ek din socha tha hum mar jaenge
aur hum se har nemat ki lazzat ka ehsas juda ho jaega
chhoTi chhoTi chizen jaise shahad ki makkhi ki bhin bhin
chiDiyon ki chun chun kawwon ka ek ek tinka chunna
nim ki sab se unchi shaKH pe ja kar rakh dena aur ghonsla bunna
saDken kuTne wale engine ki chhuk chhuk bachchon ka dhul uDana
aadhe nange mazduron ko pyaz se roTi khate dekhe jaana
ye sab la-yani bekar mashaghil baiThe baiThe ek dam chhin jaenge
hum kitna roe the jab pahli bar ye KHatra andar jaga tha
is gardish karne wali dharti se rishta TuTega hum jamid ho jaenge
lekin kab se lab sakit hain dil ki hangama-arai ki
barson se aawaz nahin aai aur is marg-e-musalsal par
in kam-maya aankhon se ek qatra aansu bhi to nahin Tapka
(871) Peoples Rate This