Silsile
shahr-dar-shahr, qarya-dar-qarya
sal-ha-sal se bhaTakta hun
bar-ha yun hua ki ye duniya
mujh ko aisi dikhai di jaise
subh ki zau se phul khilta ho
bar-ha yun hua ki raushan chand
yun laga jaise ek andha kuan
ya koi gahra zaKHm rista hua
main bahar-kaif phir bhi zinda hun
aur kal sochta raha pahron
mujh ko aisi kabhi lagan to na thi
har jagah teri yaad kyun aai?
(839) Peoples Rate This