Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c9b6e78684ae34072706600cc3bbc6dd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shisha Ka Aadmi - Akhtar-ul-Iman Poetry In English - Darsaal

Shisha Ka Aadmi

uThao hath ki dast-e-dua buland karen

hamari umar ka ek aur din tamam hua

KHuda ka shukr baja laen aaj ke din bhi

na koi waqia guzra na aisa kaam hua

zaban se kalma-e-haq-rast kuchh kaha jata

zamir jagta aur apna imtihan hota

KHuda ka shukr baja laen aaj ka din bhi

usi tarah se kaTa munh-andhere uTh baiThe

pyali chae ki pi KHabren dekhin nashta par

subut baiThe basirat ka apni dete rahe

ba-KHair o KHubi palaT aae jaise sham hui

aur agle rose ka mauhum KHauf dil mein liye

Dare Dare se zara baal paD na jae kahin

liye diye yunhi bistar mein ja ke leT gae

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shisha Ka Aadmi In English By Famous Poet Akhtar-ul-Iman. Shisha Ka Aadmi is written by Akhtar-ul-Iman. Read famous Poem Shisha Ka Aadmi for youth and Student by Akhtar-ul-Iman. Free Download Shisha Ka Aadmi in PDF.