Sabza-e-begana

hasab-nasab hai na tariKH o ja-e-paidaish

kahan se aaya tha mazhab na waldiyat malum

maqami chhoTe se KHairaati aspatal mein wo

kahin se laya gaya tha wahan ye hai marqum

mariz raaton ko chillata hai mire andar

asir zaKHmi parinda hai ik, nikalo ise

gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai KHaif hai

sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise

mariz chiKHta hai dard se karahta hai

ye wietnam, kabhi dominican, kabhi kashmir

zar-e-kasir, siyah qaumen, KHam madniyat

kasif tel ke chashme, awam, istehsal

zamin ki maut bahaim, fizai jang, sitam

ijara-dari, subuk gam, dilruba, atfal

sarod-o-naghma, adab, sher, amn, barbaadi

janaza ishq ka, daf ki sadaen, murda KHayal

taraqqi, ilm ke gahware, ruh ka madfan

KHuda ka qatl, ayan zer-e-naf zohra jamal

tamam raat ye be-rabt baaten karta hai

mariz saKHt pareshani ka sabab hai yahan

gharaz ki jo tha shikayat ka ek daftar tha

natija ye hai usi roz muntaqil karke

use ek aur shifa-KHane ko rawana kiya

suna gaya hai wahan nafsiyat ke mahir

tabib haziq o nabbaz doctor kitne

talab kiye gae aur sab ne ittifaq kiya

ye koi zehni maraz hai, mariz ne shayad

kabhi parinda koi pala hoga lekin wo

adam-e-tawajjohi ya ittifaq se yunhi

bichaara mar gaya us maut ka asar hai ye

ajib chiz hai taht-e-shuur insan ka

ye aur kuchh nahin ehsas-e-jurm hai jis ne

dil o dimagh pe qabza kiya hai is darja

mariz qatil o mujrim samajhta hai KHud ko!

kisi ki rae thi pasmanda qaum ka ek fard

mariz hoga isi waste siyah qaumen

gharib ke liye ek taboo ban gain afsos

koi ye kahta tha ye asal mein hai hubb-e-watan

mariz chahta tha hum kafil hon apne

kisi bhi qaum ke aage na hath phailaen

yahin pe tel ke chashme hain, wo karen daryaft!

guman kuchh ko tha ye shaKHs koi shaer hai

jo chahta tha jahan-gardi mein guzare waqt

hasin aurten mail hon lutf-o-aish rahe

qalam ke zor se shohrat mile zamane mein

zar-e-kasir bhi hath aae is bahane se

magar gharib ki sab koshishen gain nakaam

shikast-e-paiham o ehsas-e-na-rasai ne

ye haal kar diya majruh hogae aasab

gharaz ki nukta-rassi mein guzar gaya sab waqt

wo chiKHta hi raha dard ki dawa na mili

nashist baad nashist aur muaene shab o roz

inhin mein waqt guzarta gaya shifa na mili

phir ek sham wahan surma-dar-gulu aai

jo us ke waste goya tabib-e-haziq thi

kisi ne phir na suni dard se bhari aawaz

karahta tha jo KHamosh ho gaya wo saz

baras guzar gae is waqie ko, mazi ki

andheri god ne kab ka chhipa liya us ko

magar suna hai shifa-KHane ke dar-o-diwar

wo gird-o-pesh jahan se kabhi wo guzra tha

KHarabe bastiyan jangal, ujaD rah-guzar

usi ki chiKH ko dohrae ja rahe hain abhi

koi mudawa karo zalimo mere andar

asir zaKHmi parinda hai ek nikalo ise

gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai KHaif hai

sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabza-e-begana In English By Famous Poet Akhtar-ul-Iman. Sabza-e-begana is written by Akhtar-ul-Iman. Read famous Poem Sabza-e-begana for youth and Student by Akhtar-ul-Iman. Free Download Sabza-e-begana in PDF.