Pas-manzar
kis ki yaad chamak uTThi hai dhundle KHake hue ujagar
yunhi chand purani qabren khod raha hun tanha baiTha
kahin kisi ka mas na haDDi kahin kisi ka rup na chhaya
kuchh katbon par dhundle dhundle nam khude hain main jiwan-bhar
in katbon in qabron hi ko apne man ka bhed bana kar
mustaqbil aur haal ko choDe, dukh sukh sab mein liye phira hun
mazi ki ghanghor ghaTa mein chupka baiTha soch raha hun
kis ki yaad chamak uTThi hai, dhundle KHake hue ujagar?
baiTha qabren khod raha hun, huk si ban kar ek ek murat
dard sa ban kar ek ek saya, jag rahe hain dur kahin se
aawazen si kuchh aati hain, guzre the ek bar yahin se
hairat ban kar dekh rahi hai, har jaani-pahchani surat
goya jhuT hain ye aawazen, koi mel na tha in sab se
jin ka pyar kisi ke dil mein apne ghao chhoD gaya hai
jin ka pyar kisi ke dil se sare rishte toD gaya hai
aur wo pagal in rishton ko baiTha joD raha hai kab se!
(855) Peoples Rate This