Mufahamat
jab us ka bosa leta tha cigarette ki bu nathnon mein ghus jati thi
main tambaku-noshi ko ek aib samajhta aaya hun
lekin ab main aadi hun, ye meri zat ka hissa hai
wo bhi mere danton ki bad-rangi se manus hai, in ki aadi hai
jab hum donon milte hain, lafzon se begana se ho jate hain
kamre mein kuchh sansen aur pasine ki bu, tanhai rah jati hai!
hum donon shayad murda hain ehsas ka chashma sukha hai
ya phir shayad aisa hai ye afsana bosida hai
dard-e-zeh se zist yunhi halkan taDapti rahti hai
nae masiha aate hain aur suli par chaDh jate hain
ek maTiyala insan safon ko chir ke aage baDhta hai aur mimbar se chillata hai
hum maslub ke waris hain ye KHun hamara wirsa hai
aur wo sab aadarsh, wo sab jo wajh-e-malamat Thahra tha
is maTiyale shaKHs ke gahre meade mein khup jata hai
phir tafsiron aur tawilon ki shakl mein bahar aata hai
ye tawilen majburon ka ek mauhum sahaara hain
ya shayad sab ka sahaara hain
yunhi mein aadarsh insan ka juya hun
sab hi sapne dekhte hain KHwabon mein hawa mein uDte hain
phir ek manzil aati hai jab phuT phuT kar rote hain
shaKHon ki tarah TuTte hain
ek ruh-e-jaan-o-dil ko jo duniya mein sab se baDh kar hai pa lete hain
phir us se nafrat karte hain go phir bhi mohabbat karte hain!
main us se nafrat karta hun wo mujh ko nich samajhti hai
lekin jab hum milte hain tanhai mein tariki mein
donon aise ho jate hain jaise aaghushta miTTi hain
nafrat zam ho jati hai ek sannaTa rah jata hai
sannaTa taKHliq-e-zamin ke baad jo har-su tari tha
hum donon TuTte rahte hain jaise hum kachchi shaKHen hain
KHwabon ka zikr nahin karte donon ne kabhi jo dekhte the
KHushiyon ka zikr nahin karte jo kab ki supurd-e-KHak huin
bas donon TuTte rahte hain
main baada-noshi par mail hun, wo cigarette piti rahti hai
ek sannaTe ki chadar mein hum donon lipTe jate hain
hum donon TuTte rahte hain jaise hum kachchi shaKHen hain!
(953) Peoples Rate This