Masjid
dur bargad ki ghani chhanw mein KHamosh o malul
jis jagah raat ke tarik kafan ke niche
mazi o haal gunahgar namazi ki tarah
apne aamal pe ro lete hain chupke chupke
ek viran si masjid ka shikasta sa kalas
pas bahti hui naddi ko taka karta hai
aur TuTi hui diwar pe chanDol kabhi
git phika sa koi chheD diya karta hai
gard-alud charaghon ko hawa ke jhonke
roz miTTi ki nai tah mein daba jate hain
aur jate hue suraj ke widai anfas
raushni aa ke darichon ki bujha jate hain
hasrat-e-sham-o-sahar baiTh ke gumbad ke qarib
in pareshan duaon ko suna karti hai
jo tarasti hi rahin rang-e-asar ki KHatir
aur TuTa hua dil tham liya karti hai
ya ababil koi aamad-e-sarma ke qarib
us ko maskan ke liye DhunD liya karti hai
aur mehrab-e-shikasta mein simaT kar pahron
dastan sard mumalik ki kaha karti hai
ek buDha gadha diwar ke sae mein kabhi
ungh leta hai zara baiTh ke jate jate
ya musafir koi aa jata hai wo bhi Dar kar
ek lamhe ko Thahar jata hai aate aate
farsh jarob-kashi kya hai samajhta hi nahin
kal-adam ho gaya tasbih ke danon ka nizam
taq mein shama ke aansu hain abhi tak baqi
ab musalla hai na mimbar na muazzin na imam
aa chuke sahab-e-aflak ke paigham o salam
koh o dar ab na sunenge wo sada-e-jibrail
ab kisi kabe ki shayad na paDegi buniyaad
kho gai dasht-e-faramoshi mein aawaz-e-KHalil
chand phiki si hansi hans ke guzar jata hai
Dal dete hain sitare dhuli chadar apni
is nigar-e-dil-e-yazdan ke janaze pe bas ek
chashm nam karti hai shabnam yahan aksar apni
ek maila sa akela sa fasurda sa diya
roz rasha-zada hathon se kaha karta hai
tum jalate ho kabhi aa ke bujhate bhi nahin
ek jalta hai magar ek bujha karta hai
tez naddi ki har ek mauj talatum-bar-dosh
chiKH uThti hai wahin dur se fani fani
kal baha lungi tujhe toD ke sahil ki quyud
aur phir gumbad o minar bhi pani pani
(995) Peoples Rate This