KHamir
gulab kikar pe kab ugega
ki KHar donon mein mushtarak hai
mein kis tarah sochne laga hun
mujhe rafiqon pe kitna shak hai
ye aadmiyat ajib shai hai
sarisht mein kaun sa namak hai
ki aag, pani, hawa, ye miTTi
to har bashar ka hai tana-bana
kahan ghalat ho gaya murkkab
na hum hi samjhe na tum ne jaana
gharib ke TuTe-phuTe ghar mein
hua talawwud to shah-zada
buland masnad ke ghar piyaada
wali ke ghar mein haram-zada
(901) Peoples Rate This