Kar-nama
azim kaam karun koi ek din socha
ki rahti duniya mein apna bhi nam rah jae
magar wo kaam ho kya zehn mein nahin aaya
payambari to ziyan jaan ka hai dawa kya
tu jaane suli pe chaDhna ho ya chalen aare
ki zinda aag ki lapTon ki nazr hona paDe
KHayal aaya funun-e-latifa Dheron hain
sanam-tarashi hai naghmagari ki naqqashi
ye sab hi daimi shohrat ka ek wasila hain
magar na lafzon pe qudrat na rang qabu mein
phir ek zariya siyasat hai nam pane ka
alawa nam ke mohre bana ke logon ko
bisat-e-arz pe shatranj khel sakte hain
magar ye fan bhi meri dastaras se bahar tha
phir aur kya ho bahut kuchh KHayal dauDaya
alawa in ke mujhe aur kuchh nahin sujha
zamane baad samundar kinare baiTha tha
azim shai hai samundar bhi mere dil ne kaha
wo kya tariqa ho main is ka bhag ban jaun
samajh mein aaya nahin koi rasta bhi jab
to jhunjhla ke samundar mein kar diya peshab
(849) Peoples Rate This