Kal Ki Baat
aise hi baiThe idhar bhayya the daen jaanib
un ke nazdik baDi aapa shabana ko liye
apni sasural ke kuchh qisse latife baaten
yun sunati thin hanse paDte the sab
samne amman wahin khole piTari apni
munh bhare pan se samdhan ki inhen baaton par
jhunjhlati thin kabhi tanz se kuchh kahti thin
hum ko ghere hue baiThi thin naima shahnaz
waqfe waqfe se kabhi donon mein chashmak hoti
hasb-e-mamul sambhaale hue KHana-dari
manjhli aapa kabhi aati kabhi jati thin
hum se dur abba usi kamre ke ek kone mein
kaghzat apne araazi ke liye baiThe the
yak-ba-yak shor hua mulk naya mulk bana
aur ek aan mein mahfil hui darham-barham
aankh jo kholi to dekha ki zamin lal hai sab
taqwiyat zehn ne di Thahro nahin KHun nahin
pan ki pik hai ye amman ne thuki hogi
(1182) Peoples Rate This