Ek Ehsas
ghunudgi si rahi tari umr bhar hum par
ye aarzu hi rahi thoDi der so lete
KHalish mili hai mujhe aur kuchh nahin ab tak
tere KHayal se ai kash dard dho lete
mere azizo mere dosto gawah raho
birah ki raat kaTi aamad-e-sahar na hui
shikasta-pa hi sahi ham-safar raha phir bhi
ummid TuTi kai bar muntashir na hui
hayula kaise badalta hai waqt hairan hun
fareb aur na khae nigah Darta hun
ye zindagi bhi koi zindagi hai pal pal mein
hazar bar sambhalta hun aur marta hun
wo log jin ko musafir-nawaz kahte the
kahan gae ki yahan ajnabi hain sathi bhi
wo saya-dar shajar jo suna tha rah mein hain
sab aandhiyon ne gira Dale ab kahan jaen
ye bojh aur nahin uThta kuchh sabil karo
chalo hansenge kahin baiTh kar zamane par
(934) Peoples Rate This