Dasna Station Ka Musafir

kaun sa station hai?

Dasna hai sahib-ji

aap ko utarna hai?

ji nahin, nahin, lekin

Dasna to tha hi wo

mere sath 'qisar' thi

ye baDi baDi aankhen

ek talash mein khoi

raat bhar nahin soi

jab main us ko pahunchane

is ujaD basti mein

sath le ke aaya tha

main ne un se phir puchha

aap mustaqil shayad

Dasna mein rahte hain?

ji yahan pe kuchh meri

sut ki dukanen hain

kuchh taam-KHane hain

main suna kiya baiTha

bolta raha wo shaKHs

kuchh zamin-dari hai

mere bap dada ne

kuchh makan chhoDe the

un ko bech kar main ne

karobar khola hai

is haqir basti mein

kaun aa ke rahta tha

lekin ab yahi basti

bambai hai dilli hai

qimaten zaminon ki

itni baDh gain sahib

ek zamin hi kya hai

khane pine ki chizen

aam jine ki chizen

bhao das-gune hain ab

bolta raha wo shaKHs

is qadar girani hai

aag lag gai jaise

aasman had hai bas

main ne chaunk kar puchha

aasman mahl tha ek

sayyadon ki basti mein

aasman nahin sahib

ab mahl kahan hoga?

hans paDa ye kah kar wo

mere zehn mein us ki

baat pai-ba-pai gunji

ab mahl kahan hoga

is dayar mein shayad

'qaisar' ab nahin rahti

wo baDi baDi aankhen

ab na dekh paunga

mulk ka ye baTwara

le gaya kahan us ko

dewDhi ka sannaTa

aur hamari sargoshi

mujh se kitne chhoTe ho

main ne kuchh kaha tha phir

us ne kuchh kaha tha phir

hai raqam kahan wo sab

dard ki giran-jaani

meri shola-afshani

us ki jalwa-samani

hai raqam kahan wo ab

karb-e-zist sab mera

guftugu ka Dhab mera

us ka hath hathon mein

le ke jab main kahta tha

ab chuDao to jaanun

rasm-e-bewafai ko

aaj mo'tabar manun

us ko le ke bahon mein

jhuk ke us ke chehre par

bhench kar kaha tha ye

bolo kaise niklogi

meri dastaras se tum

mere is qafas se tum

bhure baadalon ka dal

dur uDta jata hai

peD par kahin baiTha

ek parind gata hai

chil-chil ek gilahri ki

kan mein khaTakti hai

rail chalne lagti hai

rah ke daraKHton ki

chhanw Dhalne lagti hai

mujh se kitne chhoTe ho

aur meri giran-goshi

dewDhi ka sannaTa

aur hamari sargoshi

hai raqam kahan wo sab?

dur us parinde ne

apna git dohraya

aaj hum ne apna dil

KHun kiya hua dekha

gum kiya hua paya

(1280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasna Station Ka Musafir In English By Famous Poet Akhtar-ul-Iman. Dasna Station Ka Musafir is written by Akhtar-ul-Iman. Read famous Poem Dasna Station Ka Musafir for youth and Student by Akhtar-ul-Iman. Free Download Dasna Station Ka Musafir in PDF.