AaKHiri Mulaqat
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
aati nahin kahin se dil-e-zinda ki sada
sune paDe hain kucha o bazar ishq ke
hai sham-e-anjuman ka naya husn jaan-gudaz
shayad nahin rahe wo patingon ke walwale
taza na rah sakengi riwayat-e-dasht-o-dar
wo fitna-sar gae jinhen kanTe aziz the
ab kuchh nahin to nind se aankhen jalaen hum
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
socha na tha ki aaega ye din bhi phir kabhi
ek bar phir mile hain, zara muskura to len!
kya jaane ab na ulfat-e-derina yaad aae
is husn-e-iKHtiyar pe aankhen jhuka to len
barsa labon se phul teri umar ho daraaz
sambhle hue to hain pa zara Dagmaga to len
aur apna apna ahd-e-wafa bhul jaen hum
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
barson ki baat hai ki mere ji mein aai thi
main sochta tha tujh se kahun, chhoD kya kahun
ab kaun un shikasta mazaron ki baat lae
mazi pe apne haal ko tarjih kyun na dun
matam KHizan ka ho ki bahaaron ka, ek hai
shayad na phir mile teri aankhon ka ye fusun
jo shama-e-intizar jali thi bujhaen hum
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
(880) Peoples Rate This