Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_846cad8f30243fea721d61320b9b153c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala - Akhtar Shumar Poetry In English - Darsaal

Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala

us ki chah mein nam nahin aane wala

ab mera anjam nahin aane wala

husn se kaam paDa hai aaKHiri sanson mein

aur wo kisi ke kaam nahin aane wala

meri sada par wo nazdik to aaega

lekin zer-e-dam nahin aane wala

ek jhalak se pyas ka rog baDhega aur

is se mujhe aaram nahin aane wala

ishq ke nam pe tera rang na badle yar

tujh par kuchh ilzam nahin aane wala

kaam ko baiThe hain aur sar par aai sham

lagta hai ab kaam nahin aane wala

kyun be-kar us shaKHs ka rasta dekhte ho

wo to 'shumar' is sham nahin aane wala

(1441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala in PDF.