O Des Se Aane Wale Bata
o des se aane wala hai bata
o des se aane wale bata
kis haal mein hain yaran-e-watan
aawara-e-ghurbat ko bhi suna
kis rang mein hai kanan-e-watan
wo bagh-e-watan firdaus-e-watan
wo sarw-e-watan raihan-e-watan
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan ke baghon mein
mastana hawaen aati hain
kya ab bhi wahan ke parbat par
ghanghor ghaTaen chhati hain
kya ab bhi wahan ki barkhaen
waise hi dilon ko bhati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi watan mein waise hi
sarmast nazare hote hain
kya ab bhi suhani raaton ko
wo chand sitare hote hain
hum khel jo khela karte the
kya ab wahi sare hote hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi shafaq ke sayon mein
din raat ke daman milte hain
kya ab bhi chaman mein waise hi
KHush-rang shagufe khilte hain
barsati hawa ki lahron se
bhige hue paude hilte hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
shadab-o-shagufta phulon se
mamur hain gulzar ab ki nahin
bazar mein malan lati hai
phulon ke gundhe haar ab ki nahin
aur shauq se TuTe paDte hain
nau-umr KHaridar ab ki nahin
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya sham paDe galiyon mein wahi
dilchasp andhera hota hai
aur saDkon ki dhundli shamon par
sayon ka basera hota hai
baghon ki ghaneri shaKHon mein
jis tarah sawera hota hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan waisi hi jawan
aur madh-bhari raaten hoti hain
kya raat bhar ab bhi giton ki
aur pyar ki baaten hoti hain
wo husn ke jadu chalte hain
wo ishq ki ghaten hoti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
miraniyon ke aaghosh mein hai
aabaad wo bazar ab ki nahin
talwaren baghal mein dabe hue
phirte hain trahdar ab ki nahin
aur bahliyon mein se jhankte hain
turkan-e-siyah-kar ab ki nahin
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi mahakte mandir se
naqus ki aawaz aati hai
kya ab bhi muqaddas masjid par
mastana azan tharraati hai
aur sham ke rangin sayon par
azmat ki jhalak chha jati hai
o des se aane wale bata
o des se aane wala bata
kya ab bhi wahan ke panghaT par
panhaariyan pani bharti hain
angDai ka naqsha ban ban kar
sab mathe pe gagar dharti hain
aur apne gharon ko jate hue
hansti hui चुहलें karti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
barsat ke mausam ab bhi wahan
waise hi suhane hote hain
kya ab bhi wahan ke baghon mein
jhule aur gane hote hain
aur dur kahin kuchh dekhte hi
nau-umr diwane hote hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi pahaDi choTiyon par
barsat ke baadal chhate hain
kya ab bhi hawa-e-sahil ke
wo ras bhare jhonke aate hain
aur sab se unchi Tikri par
log ab bhi tarane gate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi pahaDi ghaTiyon mein
ghanghor ghaTaen gunjti hain
sahil ke ghanere peDon mein
barkha ki hawaen gunjti hain
jhengur ke tarane jagte hain
moron ki sadaen gunjti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan melon mein wahi
barsat ka jauban hota hai
phaile hue baD ki shaKHon mein
jhulon ka nasheman hota hai
umDe hue baadal hote hain
chhaya hua sawan hota hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya shahr ke gird ab bhi hai rawan
dariya-e-hasin lahrae hue
jun god mein apne man ko liye
nagin ho koi tharrae hue
ya nur ki hansuli hur ki gardan
mein ho ayan bil khae hue
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi faza ke daman mein
barkha ke samay lahraate hain
kya ab bhi kanar-e-dariya par
tufan ke jhonke aate hain
kya ab bhi andheri raaton mein
mallah tarane gate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan barsat ke din
baghon mein bahaaren aati hain
masum o hasin doshizaen
barkha ke tarane gati hain
aur titriyon ki tarah se rangin
jhulon par lahraati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi ufuq ke sine par
shadab ghaTaen jhumti hain
dariya ke kinare baghon mein
mastana hawaen jhumti hain
aur un ke nashile jhonkon se
KHamosh fazaen jhumti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya sham ko ab bhi jate hain
ahbab kanar-e-dariya par
wo peD ghanere ab bhi hain
shadab kanar-e-dariya par
aur pyar se aa kar jhankta hai
mahtab kanar-e-dariya par
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya aam ke unche peDon par
ab bhi wo papihe bolte hain
shaKHon ke hariri pardon mein
naghmon ke KHazane gholte hain
sawan ke rasile giton se
talab mein amras gholte hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya pahli si hai masum abhi
wo madrase ki shadab faza
kuchh bhule hue din guzre hain
jis mein wo misal-e-KHwab faza
wo khel wo ham-sin wo maidan
wo KHwab-gah-e-mahtab faza
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi kisi ke sine mein
baqi hai hamari chah bata
kya yaad hamein bhi karta hai
ab yaron mein koi aah bata
o des se aane wale bata
lillah bata lillah bata
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya hum ko watan ke baghon ki
mastana fazaen bhul gain
barkha ki bahaaren bhul gain
sawan ki ghaTaen bhul gain
dariya ke kinare bhul gae
jangal ki hawaen bhul gain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ganw mein ab bhi waisi hi
masti-bhari raaten aati hain
dehat ki kamsin mah-washen
talab ki jaanib jati hain
aur chand ki sada raushni mein
rangin tarane gati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi gajar-dam charwahe
rewaD ko churane jate hain
aur sham ke dhundle sayon ke
hamrah gharon ko aate hain
aur apni rasili bansuriyon
mein ishq ke naghme gate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ganw pe ab bhi sawan mein
barkha ki bahaaren chhati hain
masum gharon se bhor-bhaie
chakki ki sadaen aati hain
aur yaad mein apne maike ki
bichhDi hui sakhiyan gati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
dariya ka wo KHwab-aluda sa ghaT
aur us ki fazaen kaisi hain
wo ganw wo manzar wo talab
aur us ki hawaen kaisi hain
wo khet wo jangal wo chiDiyan
aur un ki sadaen kaisi hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi purane khanDaron par
tariKH ki ibrat tari hai
annpurna ke ujDe mandir par
mayusi-o-hasrat tari hai
sunsan gharon par chhawni ke
virani o riqqat tari hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
aaKHir mein ye hasrat hai ki bata
wo ghaarat-e-iman kaisi hai
bachpan mein jo aafat Dhati thi
wo aafat-e-dauran kaisi hai
hum donon the jis ke parwane
wo sham-e-shabistan kaisi hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
marjaana tha jis ka nam bata
wo ghuncha-dahan kis haal mein hai
jis par the fida tiflan-e-watan
wo jaan-e-watan kis haal mein hai
wo sarw-e-chaman wo rashk-e-saman
wo sim-badan kis haal mein hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi ruKH-e-gulrang pe wo
jannat ke nazare raushan hain
kya ab bhi rasili aankhon mein
sawan ke sitare raushan hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi shahabi aariz par
gesu-e-siyah bil khate hain
ya bahr-e-shafaq ki maujon par
do nag paDe lahraate hain
aur jin ki jhalak se sawan ki
raaton ke sapne aate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
ab nam-e-KHuda hogi wo jawan
maike mein hai ya sasural gai
doshiza hai ya aafat mein use
kam-baKHt jawani Dal gai
ghar par hi rahi ya ghar se gai
KHush-haal rahi KHush-haal gai
o des se aane wale bata
(2138) Peoples Rate This