Mujhe Le Chal
meri 'salma' mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
jahan rangin bahishten khelti hain sabza-zaron mein!
jahan huron ki zulfen jhumti hain shaKH-saron mein
jahan pariyon ke naghme gunjte hain kohsaron mein
jawani ki bahaaren tairti hain aabshaaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein
wo mastana bahaaren jin pe qurban arz-e-jannat hai
jahan har zarra ek gahwara-e-mauj-e-latafat hai
jahan rangat hi rangat hai jahan nikhat hi nikhat hai
mohabbat hukmaran hai jin ke pakiza dayaron mein!
meri 'salma' mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
wo doshiza fazaen jannaton ka hai guman jin par
chhiDakta hai mai-e-tasnim-o-kausar aasman jin par
luTati hai sahab-e-husn-o-talat kahkashan jin par
surur o nur o nikhat baste hain jin ke sitaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
jahan sham o sahar nili ghaTaen ghir ke aati hain!
ufuq ki god mein nilam ki pariyan muskuraati hain!
fazaon mein bahaaren hi bahaaren lahlahati hain
jahan fitrat machalti hai lahakte abr-paron mein!
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
jahan chaaron taraf bagh-o-gulistan lahlahate hain
shagufta wadiyon mein jannaton ke KHwab aate hain
jahan masum tair ishq ke naghme sunate hain
aur un ka lahn-e-shirin gunjta hai kohsaron mein!
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
hukumat hai jahan sidq-o-safa o mehr-o-ulfat ki
nashat-o-aish-o-ishrat ki surur-o-lutf-o-rahat ki
nasim o anjum o gul ki nawa o nur o nikhat ki!
mohabbat maujzan hai jin ke doshiza nazaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein!
jahan aabaad ye napak shahristan nahin hote
fasadi fitna-parwar aur zalil insan nahin hote
ye insan han ye haiwan bad-tar az-shaitan nahin hote
fasad-o-shar jahan sote hain KHwabon ke mazaron mein!
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein!
bahishton ki latafat hai jahan ki zindagani mein
maza aata hai kausar ka jahan ke sada pani mein
KHudai husn uryan hai jahan ki naujawani mein!
sadaqat karwaTen leti hai saz-e-dil ke taron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein!
hayat-e-daimi likkha hua hai jin ke aiwan par
iram-zar-e-abad hai saya-zan jin ke KHayaban par
dawamiyyat ke jalwe chha rahe hain bagh-o-bustan par
guzar mumkin nahin hai maut ka jin ke nazaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein
mohabbat mein jo ho jata hai painda nahin marta!
sadaqat jis ko kar deti hai tabinda nahin marta!
hai jis mein ishq raqsan wo dil-e-zinda nahin marta!
nawa-e-la-fana hai ruh ke KHamosh taron mein
meri 'salma'! mujhe le chal to un rangin nazaron mein!
(1466) Peoples Rate This