Jahan Rehana Rahti Thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
wo is wadi ki shahzadi thi aur shahana rahti thi
kanwal ka phul thi sansar se begana rahti thi
nazar se dur misl-e-nikhat-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi
inhi sahraon mein wo apne galle ko charaati thi
inhin chashmon pe wo har roz munh dhone ko aati thi
inhi Tilon ke daman mein wo aazadana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
khajuron ke tale wo jo khanDar se jhilmilate hain
ye sab 'rehana' ke masum afsane sunate hain
wo in khanDaron mein ek din surat-e-afsana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
mere hamdam ye naKHlistan ek din us ka maskan tha
isi ke KHarmai-e-aghosh mein us ka nasheman tha
isi shadab wadi mein wo be-bakana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
ye phulon ki hasin aabaadiyan kashana thin us ka
wo ek but thi ye sari wadiyan but-KHana thin us ka
wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
tabahi ki hawa is KHak-e-rangin tak na aai thi
ye wo KHitta tha jis mein nau-bahaaron ki KHudai thi
wo is KHitte mein misl-e-sabza-e-begana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
isi virana mein ek din bahishten lahlahati thin
ghaTaen ghir ke aati thin hawaen muskuraati thin
ki wo ban kar bahaar-e-jannat-e-virana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
ye virana guzar jis mein nahin hai karwanon ka
jahan milta nahin nam-o-nishan tak sarbanon ka
isi virane mein ek din meri 'rehana' rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
yahin aabaad thi ek din mere afkar ki malka
mere jazbaat ki dewi mere ashaar ki malka
wo malka jo ba-rang-e-azmat-e-shahana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi
saba shaKHon mein naKHlistan ki jis dam sarsaraati hai
mujhe har lahr se 'rehana' ki aawaz aati hai
yahin 'rehana' rahti hai yahin 'rehana' rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
fazaen gunjti hain ab bhi un wahshi taranon se
suno aawaz si aati hai un KHaki chaTanon se
ki jin mein wo ba-rang-e-naghma-e-begana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
mere hamdam junun-e-shauq ka izhaar karne de
mujhe us dasht ki ek ek kali se pyar karne de
jahan ek din wo misl-e-ghuncha-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
ba-rabb-e-kaba us ki yaad mein umren ganwa dunga
main us wadi ke zarre zarre par sajde bichha dunga
jahan wo jaan-e-kaba azmat-e-but-KHana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
wo is Tile par akasr aashiqana git gati thi
purane surmaon ke fasane gungunati thi
yahin par muntazir meri wo betabana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
khajuron ke hasin sae zamin par lahlahate the
sitare jagmagate the shagufe khilkhilate the
fazaen muntashir ek nikhat-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
yahin basti thi ai hamdam mere ruman ki basti
mere afsanon ki duniya mere wijdan ki basti
yahin 'rehana' basti thi yahin 'rehana' basti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
shamim-e-zulf se us ki mahak jati thi kul wadi
nigah-e-mast se us ki bahak jati thi kul wadi
hawaen par-fishan ruh-e-mai-o-mai-KHana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
wo gesu-e-pareshan ya ghaTaen raqs karti thin
fazaen wajd karti thin hawaen raqs karti thin
wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
gudaz-e-ishq se labrez tha qalb-e-hazin us ka
magar aaina-dar-e-sharm tha ru-e-hasin is ka
KHamoshi mein chhupae naghma-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
use phulon ne meri yaad mein betab dekha hai
sitaron ki nazar ne raat bhar be-KHwab dekha hai
wo sham-e-husn thi par surat-e-parwana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
yahin ham-rang-e-gul-ha-e-hasin rahti thi 'rehana'
misal-hur-e-firdaus-e-barin rahti thi 'rehana'
yahin 'rehana' rahti thi yahin 'rehana' rahti thi
yahin wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
payam dard-e-dil 'aKHtar' diye jata hun wadi ko
salam-e-ruKHsat-e-ghamgin kiye jata hun wadi ko
salam ai wadi-e-viran jahan 'rehana' rahti thi
(2370) Peoples Rate This