Ek Shaera Ki Shadi Par
ai ki tha uns tujhe ishq ke afsanon se
zindagani teri aabaad thi rumanon se
sher ki god mein palti thi jawani teri
tere sheron se ubalti thi jawani teri
rashk-e-firdaus tha har husn bhara KHwab tera
ek pamal khilauna tha ye mahtab tera
nikhat-e-sher se mahki hui rahti thi sada
nashsha-e-fikr mein bahki hui rahti thi sada
shirkat-e-ghair se begana the naghme tere
ismat-e-hur ka afsana the naghme tere
sher ki KHalwat-e-rangin thi pari-KHana tera
mast KHwabon ke jaziron mein tha kashana tera
ghaeb-az-chashm thi jannat ki bahaaron ki tarah
dast-e-insan se thi mahfuz sitaron ki tarah
sohbat-e-ghair se ghabraati thi tanhai teri
aaine se bhi to sharmati thi tanhai teri
subh ki tarah se doshiza thi hasti teri
bu-e-gul ki tarah pakiza thi hasti teri
naghma-o-sher ke firdaus mein tu rahti thi
yaksar ilham o tarannum tha jo tu kahti thi
tere ashaar the jannat ki bahaaron ke hujum
tere afkar the zarrin sitaron ke hujum
dard-e-sheri ke tassur se to maghmum thi tu
aasman ka magar ek ghuncha-e-masum thi tu
mauj-e-kausar ka chhalakta hua paimana thi
ghair honTon ke tasawwur se bhi begana thi
ab gawara hui kyun ghair ki sohbat tujh ko
kyun pasand aa gai na-jins ki shirkat tujh ko
auj-e-taqdis ko pasti ki ada bha gai kyun
teri tanhai ki jannat pe KHizan chha gai kyun
sher o ruman ke wo KHwab kahan hain tere
wo nuqush-e-gul-o-mahtab kahan hain tere
kaun si turfa ada bha gai is duniya mein
KHuld ko chhoD ke kyun aa gai is duniya mein
ho gai aam tu nur-e-mah-e-taban ki tarah
aah kyun jal na bujhi sham-e-shabistan ki tarah
apni doshiza bahaaron ko na khona tha kabhi
wo kali thi tu jise phul na hona tha kabhi
iffaten miT ke jawani ko miTa jati hain
phul kumhlate hain kaliyan kahin kumhlati hain
bulbul-e-mast-nawa dasht mein kyun rahne lagi
naghma-e-tar ki jagah marsiya kyun kahne lagi
hawas-aluda hui pak jawani teri
ghair ki raat hai ab aur kahani teri
kis ko malum tha tu is qadar arzan hogi
zinat-e-mahfil o pamal-e-shabistan hogi
jazb-e-iffat ka mayassar tha jo irfan tujh ko
kyun na marghub hua shewa-e-jaanan tujh ko
tirgi hirs ki huron ko bhi bahka hi gai
tere bistar pe bhi aaKHir ko shikan aa hi gai
ab nahin tujh mein wo huron ki si iffat baqi
hur thi tujh mein, gai, rah gai aurat baqi
han wo aurat jise bachchon ka fasana kahiye
barbat-e-nafs ka ek fuhsh tarana kahiye
jis mein hai zahr ufunat ka wo paimana kahen
ek gunahon ka bhabhakta hua mai-KHana kahen
nauha-KHwan apni jawan maut ka hone de mujhe
muskura tu magar is haal pe rone de mujhe
(1667) Peoples Rate This