Dil-o-dimagh Ko Ro Lunga Aah Kar Lunga
dil-o-dimagh ko ro lunga aah kar lunga
tumhaare ishq mein sab kuchh tabah kar lunga
agar mujhe na milin tum tumhaare sar ki qasam
main apni sari jawani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram mein kahin jagah na mili
tere KHayal hi ko sajda-gah kar lunga
jo tum se kar diya mahrum aasman ne mujhe
main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga
raqib se bhi milunga tumhaare hukm pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga
tumhaari yaad mein main kaT dunga hashr se din
tumhaare hijr mein raaten siyah kar lunga
sawab ke liye ho jo gunah wo ain sawab
KHuda ke nam pe bhi ek gunah kar lunga
harim-e-hazrat-e-salma ki samt jata hun
hua na zabt to chupke se aah kar lunga
ye nau-bahaar ye abru, hawa ye rang sharab
chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga
kisi hasine ke masum ishq mein 'aKHtar'
jawani kya hai main sab kuchh tabah kar lunga
(1028) Peoples Rate This