Basti Ki LaDkiyon Ke Nam
chal ai nasim-e-sahra ruh-o-rawan-e-sahra
mera payam le ja su-e-butan-e-sahra
sahrai mahwashon ki KHidmat mein ja ke kahna
bhule nahin tumhein hum ai duKHtaran-e-sahra
gar bas chale to aaen aur dard-e-dil sunaen
tum ko gale lagaen hum phir miyan-e-sahra
tum najd mein pareshan shahron mein hum hain hairan
allah ki aman ho tum par butan-e-sahra
tum is tarah ghamon se behaal ho rahi ho
hum is taraf hain muztar daman-kushan-e-sahra
hum pas aaen kyun kar tum ko bulaen kyun kar
ye dukh miTaen kyun kar wamandgan-e-sahra
betab hain alam se be-KHwab ranj-o-gham se
kya puchhti ho hum se ai dil-baran-e-sahra
tum yaad kar rahi ho bedad kar rahi ho
barbaad kar rahi ho ai gul-ruKHan-e-sahra
ye kya kaha ki tum ho ranginiyon ke KHugar
ghamgin hain tum se baDh kar ai gham-kushan-e-sahra
ye raat ye ghaTaen ye shor ye hawaen
bichhDe hue milenge kyunkar miyan-e-sahra
shahron ki zindagi se hum tang aa chuke hain
sahra mein phir bula lo ai sakinan-e-sahra
yaad-e-sumum ho ya sarsar ke tund tufan
Darte nahin kisi se dil-dadgan-e-sahra
aabaadiyon mein hasil aazadiyan nahin hain
aa jao tum hi uD kar o tairan-e-sahra
sahra ki wusaton mein hum ko na bhul jaana
o duKHtaran-e-sahra o aahuwan-e-sahra
ai abr chup na rahna mera fasana kahna
mil jae gar kahin wo sarw-e-rawan-e-sahra
dashti ki dhun mein saqi ek naghma-e-iraqi
han phir suna ba-yaad-e-gul-chehargan-e-sahra
aankhon mein bas raha hai naqsh-e-butan-e-sahra
o dastan-sara chheD ek dastan-e-sahra
mastana ja raha hai phir karwan-e-sahra
han jhum kar hudi-KHwan ek dastan-e-sahra
dehat ki fazaen aankhon mein phir rahi hain
dil mein sama rahi hai yaad-e-butan-e-sahra
nazron pe chha raha hai wo chandni ka manzar
sahra mein khelti thin jab huryan-e-sahra
wo chandni ka mausam wo be-KHudi ka aalam
wo nur ka samundar reg-e-rawan-e-sahra
jalwe mah-e-jawan ke wo rang-e-karwan ke
wo naghme sarban ke raqsan miyan-e-sahra
kyunkar na yaad aaen wo sim-gun fazaen
wo aasman-e-sahra mah-e-rawan-e-sahra
wo kam-sinon ke gane wo khel wo tarane
be-fikri ke fasane wird-e-zaban-e-sahra
kheton mein ghumte the har gul ko chumte the
masti mein jhumte the jab mai-kashan-e-sahra
wo ganw wo fazaen wo fasl wo hawaen
wo khet wo ghaTaen wo aasman-e-sahra
phir yaad aa rahi hain phir dil dukha rahi hain
majnun bana rahi hain laila-washan-e-sahra
raaton ko chhup ke aana aur shane ko hilana
hai yaad wo jagana hum ko miyan-e-sahra
wo un ki shoKH aankhen wo un ki sada nazren
be-KHud bana rahi hain doshizgan-e-sahra
wo ishq-pesha hun main jis ke jawan naghme
gata hai chandni mein har naujawan-e-sahra
ek badwiyat ka aashiq sahraiyat se be-KHud
'aKHtar' bhi apni dhun mein hai ek jawan-e-sahra
(1258) Peoples Rate This