Ai Ishq Hamein Barbaad Na Kar
ai ishq na chheD aa aa ke hamein hum bhule huon ko yaad na kar
pahle hi bahut nashad hain hum tu aur hamein nashad na kar
qismat ka sitam hi kam nahin kuchh ye taza sitam ijad na kar
yun zulm na kar be-dad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
jis din se mile hain donon ka sab chain gaya aaram gaya
chehron se bahaar-e-subh gai aaankhon se farogh-e-sham gaya
hathon se KHushi ka jam chhuTa honTon se hansi ka nam gaya
ghamgin na bana nashad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
hum raaton ko uTh kar rote hain ro ro ke duaen karte hain
aaankhon mein tasawwur dil mein KHalish sar dhunte hain aahen bharte hain
ai ishq ye kaisa rog laga jite hain na zalim marte hain
ye zulm tu ai jallad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ye rog laga hai jab se hamein ranjida hun main bimar hai wo
har waqt tapish har waqt KHalish be-KHwab hun main bedar hai wo
jine pe idhar bezar hun main marne pe udhar tayar hai wo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
jis din se bandha hai dhyan tera ghabrae hue se rahte hain
har waqt tasawwur kar kar ke sharmae hue se rahte hain
kumhlae hue phulon ki tarah kumhlae hue se rahte hain
pamal na kar barbaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
bedard! zara insaf to kar is umr mein aur maghmum hai wo
phulon ki tarah nazuk hai abhi taron ki tarah masum hai wo
ye husn sitam! ye ranj ghazab! majbur hun main mazlum hai wo
mazlum pe yun be-dad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ai ishq KHudara dekh kahin wo shoKH-e-hazin bad-nam na ho
wo mah-laqa bad-nam na ho wo zohra-jabin bad-nam na ho
namus ka us ke pas rahe wo parda-nashin bad-nam na ho
us parda-nashin ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ummid ki jhuTi jannat ke rah rah ke na dikhla KHwab hamein
aainda ki farzi ishrat ke wadon se na kar betab hamein
kahta hai zamana jis ko KHushi aati hai nazar kamyab hamein
chhoD aisi KHushi ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
kya samjhe the aur tu kya nikla ye soch ke hi hairan hain hum
hai pahle-pahal ka tajraba aur kam-umr hain hum anjaan hain hum
ai ishq! KHudara! rahm-o-karam masum hain hum nadan hain hum
nadan hain hum nashad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
wo raaz hai ye gham aah jise pa jae koi to KHair nahin
aaankhon se jab aansu bahte hain aa jae koi to KHair nahin
zalim hai ye duniya dil ko yahan bha jae koi to KHair nahin
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
do din hi mein ahd-e-tifli ke masum zamane bhul gae
aaankhon se wo KHushiyan miT si gain lab ko wo tarane bhul gae
un pak bahishti KHwabon ke dilchasp fasane bhul gae
in KHwabon si yun aazad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
us jaan-e-haya ka bas nahin kuchh be-bas hai parae bas mein hai
be-dard dilon ko kya hai KHabar jo pyar yahan aapas mein hai
hai bebasi zahr aur pyar hai ras ye zahr chhupa is ras mein hai
kahti hai haya fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
aaankhon ko ye kya aazar hua har jazb-e-nihan par ro dena
aahang-e-tarab par jhuk jaana aawaz-e-fughan par ro dena
barbat ki sada par ro dena mutrib ke bayan par ro dena
ehsas ko gham buniyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
har dam abadi rahat ka saman dikhla ke hamein dil-gir na kar
lillah habab-e-ab-e-rawan par naqsh-e-baqa tahrir na kar
mayusi ke ramte baadal par ummid ke ghar tamir na kar
tamir na kar aabaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
ji chahta hai ek dusre ko yun aaTh pahar hum yaad karen
aaankhon mein basaen KHwabon ko aur dil mein KHayal aabaad karen
KHalwat mein bhi ho jalwat ka saman wahdat ko dui se shad karen
ye aarzuen ijad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
duniya ka tamasha dekh liya ghamgin si hai betab si hai
ummid yahan ek wahm si hai taskin yahan ek KHwab si hai
duniya mein KHushi ka nam nahin duniya mein KHushi nayab si hai
duniya mein KHushi ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
(1405) Peoples Rate This