Wada Us Mah-ru Ke Aane Ka

wada us mah-ru ke aane ka

ye nasiba siyah-KHane ka

kah rahi hai nigah-e-duz-dida

ruKH badalne ko hai zamane ka

zarre zarre mein be-hijab hain wo

jin ko dawa hai munh chhupane ka

hasil-e-umr hai shabab magar

ek yahi waqt hai ganwane ka

chandni KHamushi aur aaKHir shab

aa ki hai waqt dil lagane ka

hai qayamat tere shabab ka rang

rang badlega phir zamane ka

teri aankhon ki ho na ho taqsir

nam ruswa sharab-KHane ka

rah gae ban ke hum sarapa gham

ye natija hai dil lagane ka

jis ka har lafz hai sarapa gham

main hun unwan us fasane ka

us ki badli hui nazar tauba

yun badalta hai ruKH zamane ka

dekhte hain hamein wo chhup chhup kar

parda rah jae munh chhupane ka

kar diya KHugar-e-sitam 'aKHtar'

hum pe ehsan hai zamane ka

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wada Us Mah-ru Ke Aane Ka In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Wada Us Mah-ru Ke Aane Ka is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Wada Us Mah-ru Ke Aane Ka for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Wada Us Mah-ru Ke Aane Ka in PDF.