Us Mah-jabin Se Aaj Mulaqat Ho Gai
us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai
bedard aasman ye kya baat ho gai
aawargan-e-ishq ka maskan na puchhiye
paD rahte hain wahin pe jahan raat ho gai
zikr-e-shab-e-visal ho kya qissa muKHtasar
jis baat se wo Darte the wo baat ho gai
masjid ko hum chale gae masti mein bhul kar
hum se KHata ye pir-e-KHarabaat ho gai
pichhle ghamon ka zikr hi kya jab wo mil gae
ai aasman talafi-e-mafat ho gai
zahid ko zindagi hi mein kausar chakha diya
rindon se aaj ye bhi karamat ho gai
bechain rakhne wale pareshan hon KHud na kyun
aaKHir ko teri zulf meri raat ho gai
jhula jhulaen chal ke hasinon ko bagh mein
gujraat mein suna hai ki barsat ho gai
kya faeda ab 'aKHtar' agar parsa bane
jab sari umr nazr-e-KHarabaat ho gai
(984) Peoples Rate This