Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_97e878ce5c34a4aa8f49b97595a0808e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai - Akhtar Shirani Poetry In English - Darsaal

Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai

un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai

do zahr ke pyalon pe qaza khel rahi hai

hain nargis-o-gul kis liye mashur-e-tamasha

gulshan mein koi shoKH ada khel rahi hai

us bazm mein jaen to ye kahti hain adaen

kyun aae ho, kya sar pe qaza khel rahi hai

us chashm-e-siyah mast pe gesu hain pareshan

maiKHane pe ghanghor ghaTa khel rahi hai

bad-masti mein tum ne unhen kya kah diya 'aKHtar'

kyun shoKH-nigahon mein haya khel rahi hai

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai in PDF.