Umr Bhar Ki TalKH Bedari Ka Saman Ho Gain

umr bhar ki talKH bedari ka saman ho gain

hae wo raaten ki jo KHwab-e-pareshan ho gain

main fida us chand se chehre pe jis ke nur se

mere KHwabon ki fazaen yusufistan ho gain

umr bhar kam-baKHt ko phir nind aa sakti nahin

jis ki aankhon par teri zulfen pareshan ho gain

dil ke pardon mein thin jo jo hasraten parda-nashin

aaj wo aankhon mein aansu ban ke uryan ho gain

kuchh tujhe bhi hai KHabar o sone wale naz se

meri raaten luT gain ninden pareshan ho gain

hae wo mayusiyon mein meri ummidon ka rang

jo sitaron ki tarah uTh uTh ke pinhan ho gain

bas karo o meri rone wali aankhon bas karo

ab to apne zulm par wo bhi pashiman ho gain

aah wo din jo na aae phir guzar jaane ke baad

hae wo raaten ki jo KHwab-e-pareshan ho gain

gulshan-e-dil mein kahan 'aKHtar' wo rang-e-nau-bahaar

aarzuen chand kaliyan thin pareshan ho gain

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Bhar Ki TalKH Bedari Ka Saman Ho Gain In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Umr Bhar Ki TalKH Bedari Ka Saman Ho Gain is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Umr Bhar Ki TalKH Bedari Ka Saman Ho Gain for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Umr Bhar Ki TalKH Bedari Ka Saman Ho Gain in PDF.