Su-e-kalkatta Jo Hum Ba-dil-e-diwana Chale
su-e-kalkatta jo hum ba-dil-e-diwana chale
gungunate hue ek shoKH ka afsana chale
shahr-e-salma hai sar-e-rah ghaTaen hamrah
saqiya aaj to daur-e-mai-o-paimana chale
is tarah rail ke hamrah rawan hai baadal
sath jaise koi uDta hua mai-KHana chale
shahr-e-jaanan mein utarne ki thi hum par qadghan
yun chale jaise koi shahr se begana chale
garche tanha the magar un ke tasawwur ke nisar
apne ham-rah liye ek pari-KHana chale
khel ummid ke dekho ki na ki un ko KHabar
phir bhi hum muntazir-e-jalwa-e-jaanana chale
un ka paigham na lae hon ye rangin baadal
warna kyun sath mere be-KHud o mastana chale
ghar se ba-ishrat-e-shahana hum aae the magar
un ke kuche se chale jab to faqirana chale
baadalo KHidmat-e-salma mein ye kah do ja kar
ki tere shahr mein hum aa ke gharibana chale
hasrat o shauq ke aalam mein chale yun 'aKHtar'
muskuraata hua jaise koi diwana chale
(843) Peoples Rate This