Nikhat-e-zulf Se Nindon Ko Basa De Aa Kar
nikhat-e-zulf se nindon ko basa de aa kar
meri jagi hui raaton ko sula de aa kar
fikr-e-farda o gham-e-dosh bhula de aa kar
phir usi naz se diwana bana de aa kar
ishq ko naghma-e-ummid suna de aa kar
dil ki soi hui qismat ko jaga de aa kar
kis qadar tera o tarik hai duniya-e-hayat
jalwa-e-husn se ek shama jala de aa kar
ishq ki chandni raaten mujhe yaad aati hain
umr-e-rafta ko meri mujh se mila de aa kar
zindagi ban ke mere dil mein sama ja salma
maut ek parda hai ye parda uTha de aa kar
aag si dil mein laga jata hai tera har KHat
aa mere KHirman-e-hasti ko jala de aa kar
teri furqat mein mere sher hain kitne ghamgin
muskuraati hui nazron se hansa de aa kar
phir wahi hum hon wahi din hon wahi raaten hon
ahd-e-rafta ko phir aaina dikha de aa kar
shauq-e-nadida mein lazzat hai magar naz nahin
aa mere ishq ko maghrur bana de aa kar
shab-e-furqat pe meri hanste hain ai KHanda-e-nur
mere qadmon pe sitaron ko gira de aa kar
tishna-e-husn hun ai saqi-mai-KHana-e-husn
apne honTon se phir ek jam pila de aa kar
kab talak raunaq-e-sham-e-awadh ai mah-e-rawan
sham-e-lahore ko bhi subh bana de aa kar
ho chuki sair-e-bahaaran-kada-e-qaisar-bagh
bagh-e-lawrence mein bhi phul khila de aa kar
gomti dekh chuki jalwa-e-ariz ki bahaar
sath-e-rawi ko bhi aaina bana de aa kar
tera ruman naya KHwab hai 'aKHtar' ke liye
aa aur is KHwab ki tabir bata de aa kar
(940) Peoples Rate This