Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ede72693699db3557cfb08144812763c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Sham-e-gham Ko Wo Bahla Rahe Hain - Akhtar Shirani Poetry In English - Darsaal

Meri Sham-e-gham Ko Wo Bahla Rahe Hain

meri sham-e-gham ko wo bahla rahe hain

likha hai ye KHat mein ki hum aa rahe hain

Thahar ja zara aur ai dard-e-furqat

hamare tasawwur mein wo aa rahe hain

gham-e-aqibat hai na fikr-e-zamana

piye ja rahe hain jiye ja rahe hain

nahin shikwa-e-tishnagi mai-kashon ko

wo aankhon se mai-KHane barsa rahe hain

wo rashk-e-bahaar aane wala hai 'aKHtar'

kanwal hasraton ke khile ja rahe hain

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Sham-e-gham Ko Wo Bahla Rahe Hain In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Meri Sham-e-gham Ko Wo Bahla Rahe Hain is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Meri Sham-e-gham Ko Wo Bahla Rahe Hain for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Meri Sham-e-gham Ko Wo Bahla Rahe Hain in PDF.