Main Aarzu-e-jaan Likhun Ya Jaan-e-arzu!
main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!
tu hi bata de naz se iman-e-arzu!
aansu nikal rahe hain tasawwur mein ban ke phul
shadab ho raha hai gulistan-e-arzu!
iman o jaan nisar teri ek nigah par
tu jaan-e-arzu hai tu iman-e-arzu!
hone ko hai tulu sabah-e-shab-e-visal
bujhne ko hai charagh-e-shabistan-e-arzu!
ek wo ki aarzuon pe jite hain umr bhar
ek hum ki hain abhi se pashiman-e-arzu!
aankhon se ju-e-KHun hai rawan dil hai dagh dagh
dekhe koi bahaar-e-gulistan-e-arzu!
dil mein nashat-e-rafta ki dhundli si yaad hai
ya sham-e-wasl hai tah-e-daman-e-arzu!
'aKHtar' ko zindagi ka bharosa nahin raha
jab se luTa chuke sar-o-saman-e-arzu!
(1471) Peoples Rate This