La Pila Saqi Sharab-e-arghawani Phir Kahan
la pila saqi sharab-e-arghawani phir kahan
zindagani phir kahan nadan jawani phir kahan
do ghaDi mil baiThne ko bhi ghanimat jaaniye
umr fani hi sahi ye umr-e-fani phir kahan
aa ki hum bhi ek tarana jhum kar gate chalen
is chaman ke taeron ki ham-zabani phir kahan
hai zamana ishq-e-salma mein ganwa de zindagi
ye zamana phir kahan ye zindagani phir kahan
ek hi basti mein hain aasan hai milna aa milo
kya KHabar le jae daur-e-asmani phir kahan
fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-KHizan aane ko hai
ye chaman ye bulbulen ye naghma-KHwani phir kahan
phul chun ji khol kar aish-o-tarab ke phul chun
mausam-e-gul phir kahan fasl-e-jawani phir kahan
aaKHiri raat aa gai ji bhar ke mil len aaj to
tum se milne dega daur-e-asmani phir kahan
aaj aae ho to sunte jao ye taza ghazal
warna 'aKHtar' phir kahan ye sher-KHwani phir kahan
(1303) Peoples Rate This