Kis Ki Aankhon Ka Liye Dil Pe Asar Jate Hain
kis ki aankhon ka liye dil pe asar jate hain
mai-kade hath baDhate hain jidhar jate hain
dil mein arman-e-visal aankh mein tufan-e-jamal
hosh baqi nahin jaane ka magar jate hain
bhulti hi nahin dil ko teri mastana nigah
sath jata hai ye mai-KHana jidhar jate hain
pasbanan-e-haya kya hue ai daulat-e-husn
hum chura kar teri duz-dida nazar jate hain
pursish-e-dil to kuja ye bhi na puchha us ne
hum musafir kidhar aae the kidhar jate hain
chashm-e-hairan mein samae hain ye kis ke jalwe
tur har gam pe raqsan hain jidhar jate hain
jis tarah bhule musafir koi saman apna
hum yahan bhul ke dil aur nazar jate hain
kitne bedard hain is shahr ke rahne wale
rah mein chhin ke dil kahte hain ghar jate hain
agle waqton mein luTa karte the rah-rau aksar
hum to is ahd mein bhi luT ke magar jate hain
faizabad se pahuncha hamein ye faiz 'aKHtar'
ki jigar par liye hum dagh-e-jigar jate hain
(870) Peoples Rate This