Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c9b524471e6f2fafaaccff9bb336b1a2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jhum Kar Badli UThi Aur Chha Gai - Akhtar Shirani Poetry In English - Darsaal

Jhum Kar Badli UThi Aur Chha Gai

jhum kar badli uThi aur chha gai

sari duniya par jawani aa gai

aah wo us ki nigah-e-mai-farosh

jab bhi uTThi mastiyan barsa gai

gesu-e-mushkin mein wo ru-e-hasin

abr mein bijli si ek lahra gai

aalam-e-masti ki tauba al-aman

parsai nashsha ban kar chha gai

aah us ki be-niyazi ki nazar

aarzu kya phul si kumhla gai

saz-e-dil ko gudgudaya ishq ne

maut ko le kar jawani aa gai

parsai ki jawan-margi na puchh

tauba karni thi ki badli chha gai

'aKHtar' us jaan-e-tamanna ki ada

jab kabhi yaad aa gai taDpa gai

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhum Kar Badli UThi Aur Chha Gai In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Jhum Kar Badli UThi Aur Chha Gai is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Jhum Kar Badli UThi Aur Chha Gai for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Jhum Kar Badli UThi Aur Chha Gai in PDF.