Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9fb31162fb4900e7eadfde7fef7aa3a2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Jalwa-e-rangin Meri Nigah Mein Hai - Akhtar Shirani Poetry In English - Darsaal

Har Ek Jalwa-e-rangin Meri Nigah Mein Hai

har ek jalwa-e-rangin meri nigah mein hai

gham-e-firaq ki duniya dil-e-tabah mein hai

kisi ki yaad karam uff are maaz-allah

tabah ho ke bhi zalim dil-e-tabah mein hai

hazar pardon mein o chhupne wale ye sun le

tera jamal mere daman-e-nigah mein hai

jahan mein mujh se bhi nakaam-e-arzu kam hain

na rang aah mein hai aur na soz aah mein hai

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Jalwa-e-rangin Meri Nigah Mein Hai In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Har Ek Jalwa-e-rangin Meri Nigah Mein Hai is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Har Ek Jalwa-e-rangin Meri Nigah Mein Hai for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Har Ek Jalwa-e-rangin Meri Nigah Mein Hai in PDF.