Hamare Hath Mein Kab Saghar-e-sharab Nahin

hamare hath mein kab saghar-e-sharab nahin

hamare qadmon pe kis roz mahtab nahin

jahan mein ab koi surat pae-sawab nahin

wo mai-kade nahin saqi nahin sharab nahin

shab-e-bahaar mein zulfon se khelne wale

tere baghair mujhe aarzu-e-KHwab nahin

chaman mein bulbulen aur anjuman mein parwane

jahan mein kaun gham-e-ishq se KHarab nahin

gham, aah ishq ke gham ka koi nahin mausam

bahaar ho ki KHizan kab ye iztirab nahin

umid-e-pursish-e-ahwal ho to kyunkar ho

salam ka bhi teri bazm mein jawab nahin

watan ka chheD diya kis ne tazkira 'aKHtar'

ki chashm-e-shauq ko phir aarzu-e-KHwab nahin

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Hath Mein Kab Saghar-e-sharab Nahin In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Hamare Hath Mein Kab Saghar-e-sharab Nahin is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Hamare Hath Mein Kab Saghar-e-sharab Nahin for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Hamare Hath Mein Kab Saghar-e-sharab Nahin in PDF.