Dil-e-diwana O Andaz-e-bebakana Rakhte Hain
dil-e-diwana o andaz-e-bebakana rakhte hain
gada-e-mai-kada hain waza-e-azadana rakhte hain
mujhe mai-KHana tharaata hua mahsus hota hai
wo mere samne sharma ke jab paimana rakhte hain
ghaTaen bhi to bahki ja rahi hain in adaon par
chaman mein jo qadam rakhte hain wo mastana rakhte hain
ba-zahir hum hain bulbul ki tarah mashhur harjai
magar dil mein gudaz-e-fitrat-e-parwana rakhte hain
jawani bhi to ek mauj-e-sharab-e-tund-o-rangin hai
bura kya hai agar hum mashrab-e-rindana rakhte hain
kisi maghrur ke aage hamara sar nahin jhukta
faqiri mein bhi 'aKHtar' ghairat-e-shahana rakhte hain
(943) Peoples Rate This