Baja Ki Hai Pas-e-hashr Hum Ko Karenge Pas-e-shabab Pahle
baja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle
hisab hota rahega ya rab hamein manga de sharab pahle
faza-e-shab hans ke jagmagai wo naznin subh ban ke aai
hua hai raushan mere shabistan mein chand se aaftab pahle
zaban pe aaya na harf-e-matlab ki kah gain kuchh sharir nazren
sawal karne na pae hain hum ki mil gaya hai jawab pahle
jinan mein pahle piyega to laDkhaData phirega zahid
surur-e-kausar ki hai agar dhun jahan mein pi le sharab pahle
hai KHusraw-e-ishq ka ye farman ki dil lagana nahin hai aasan
jise ho ku-e-butan ka arman wo ku-ba-ku ho KHarab pahle
gham o alam ranj o yas o hasrat uThaunga sab ke ruKH se parde
tumhein qasam hai dil-e-hazin ki uThao to tum naqab pahle
ilahi wo bu-e-pairahan se bhi pahle ho ham-kanar aa kar
chaman mein hota hai jalwa-afroz phul se mahtab pahle
ye kis ke rang-e-ruKH-e-bahaarin ne baKHsh di hai tarawat-e-nau
shagufta hota na tha gulistan mein is ada se gulab pahle
nigah saqi ki muskurai kaha jab 'aKHtar' ne apni dhun mein
piyenge pite rahenge mai-kash magar ye KHana-KHarab pahle
(819) Peoples Rate This