Aarzu Wasl Ki Rakhti Hai Pareshan Kya Kya

aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya

kya bataun ki mere dil mein hain arman kya kya

gham azizon ka hasinon ki judai dekhi

dekhen dikhlae abhi gardish-e-dauran kya kya

un ki KHushbu hai fazaon mein pareshan har su

naz karti hai hawa-e-chamanistan kya kya

dasht-e-ghurbat mein rulate hain hamein yaad aa kar

ai watan tere gul o sumbul o raihan kya kya

ab wo baaten na wo raaten na mulaqaten hain

mahfilen KHwab ki surat huin viran kya kya

hai bahaar-e-gul-o-lala mere ashkon ki numud

meri aankhon ne khilae hain gulistan kya kya

hai karam un ke sitam ka ki karam bhi hai sitam

shikwe sun sun ke wo hote hain pasheman kya kya

gesu bikhre hain mere dosh pe kaise kaise

meri aankhon mein hain aabaad shabistan kya kya

waqt-e-imdad hai ai himmat-e-gustaKHi-e-shauq

shauq-angez hain un ke lab-e-KHandan kya kya

sair-e-gul bhi hai hamein bais-e-wahshat 'aKHtar'

un ki ulfat mein hue chaak gareban kya kya

(1096) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzu Wasl Ki Rakhti Hai Pareshan Kya Kya In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Aarzu Wasl Ki Rakhti Hai Pareshan Kya Kya is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Aarzu Wasl Ki Rakhti Hai Pareshan Kya Kya for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Aarzu Wasl Ki Rakhti Hai Pareshan Kya Kya in PDF.