Samundar Sab Ke Sab Payab Se Hain
samundar sab ke sab payab se hain
kinaron par magar girdab se hain
tere KHat mein jo ashkon ke nishan the
wahi ab kirmak-e-shab-tab se hain
chahak uThta hai saz-e-zindagani
tere alfaz bhi mizrab se hain
dilon mein karb baDhta ja raha hai
magar chehre abhi shadab se hain
hamare zaKHm raushan ho rahe hain
masiha is liye betab se hain
wo jugnu ho sitara ho ki aansu
andhere mein sabhi mahtab se hain
kabhi nashtar kabhi marham samajhna
mere ashaar bhi ahbab se hain
KHushi tera muqaddar hogi 'aKHtar'
ye imkan ab KHayal-o-KHwab se hain
(825) Peoples Rate This